Posts

Showing posts from April, 2018

Post 12- poetry -Meri khwaish!

Manzilen gumshuda Hain, Raasten pareshaan Hain, Rahi bhi thak gya hai Yun safar karte karte, Jaane kis mukammal Shaam ko Mulakaat hogi, Wo Jo khwaish hai Meri wo pass mere hogi, Filhaal to Har khwaish ko alfaazo main utar deta hu, Main apne jazbaat kagazo main sanwaar deta hu. Mushkil hai naamumkin nahi, Door to hai magar Chand Tak nahi, Maano kashti bhanwar main hai , Magar aandhio ko sahil bana mujhe dariya paar karna hai, Wo Jo kinare par Tim timata hua Tara hai mujhe usko haasil karna hai, Meri khwaisho ko seep main kaid Kar main samandar ki sair karta hu, Shayad isiliye main har khwaish ko apne hi ander kaid Kar leta hu, Har khwaish ko alfaazo main utar deta hu, Main apne jazbaat kagazo main sanwaar deta hu. Wo chahat hai ya shohrat hai, Meri manzil hai Yaa Rasta hai, Kinara hai ya bhanwar hai , Par Jo bhi hai bakhuda badi apsara hai , Yeh Jo khwaish hai jaane kaisi farmaish hai, Sau Dard ka Karan hai zamaane Bhar ki khushiyan si hai, Par jaane kis gali main...