Post 7- POETRY - DEEWANO KI TARAH
Khaali tarkash si umeed thi unse Milne ki Hume,
Koi bandish ho jaise bandhti thi intezaar karne ki Hume,
Wo to Nadaan the Jo samajh baithe pyaar ko dosti,
Raat raat Bhar jagati rahi unki yaad Hume,
Wo bichade humse ese gairo ki Tarah,
Aur hum intezaar karte the unka deewano ki tarah.
Chootna to Tha Saath yeh pta tha Hume,
Bichadne ka ehsaas Saath baithkar hota Tha hume,
Kadam do chaar Zindagi ke Saath chale the humne,
Par unko chalte jaane Dena Tha hume,
Wo ruksati main bhi alvida na Keh gye,
Aur hum intezaar karte the unka deewano ki tarah.
Socha tha ek Roz Mulakaat hogi apni,
Yeh haalat - e- bayan hogi unhe apni,
Wo thaam Kar haath baithenge Kisi kone main humara,
Par shayad yeh Shaam iss janam main na hogi apni,
Wo mile aaj humse anjaano ki tarah,
Jinko kabhi hum chaahte the deewano ki tarah......$_!
Comments
Post a Comment