Post 15 - Zikr
Zikr Tak Gawara nhi hai ab unka,
Jinke saaye se bhi Mohabbat thi Hume,
Wo nakaar gye Sab khwaisho ko Meri,
Jinki palak jhapakne ki ahaten aati thi Hume,
wafa e ulfat main madhosh ho gye.....
Hum itne doobe ke khamosh ho gye.....
Zaaya kardi ek Umar bhar ki Zindagi,
Jo kabhi Zindagi main Zindagi de na sake Hume,
Hum ibadat karte rahe bewajah,
Jo kabhi rehmat de na sake Hume......
Hum rukhsat bhi ho gye anjaane se,
Wo pukaar Kar rok bhi Na sake hume.,
wafa e ulfat main madhosh ho gye.....
Hum itne doobe ke khamosh ho gye.....
Hum to samandar the Mohabbat ka,
Jo kankar barsa Kar parakhte rahe Hume,
Ek ibarat the pathhar pr likhi hui,
Jo seesha samajhkar todte rahe Hume,
Ab waqt ko maat dekar hum badal gye,
Jo hum the kabhi ab Boht se raqeeb unke ho gye,
wafa e ulfat main madhosh ho gye.....
Hum itne doobe ke khamosh ho gye.....$_!
Comments
Post a Comment